Biwi Ke Huqooq Shohar Par Hadees Ki Roshni Me Aur Biwi Ka Haq

Biwi Ke Huqooq Shohar Par Hadees Ki Roshni Me Aur Biwi Ka Haq ,” Pyare Islami Bhaiyo,ALLAH TA’ALA Ne Jis Tarah Aurato Par Shohar Ke Huqooq Farz Kiye Hai Usi Tarah Shohar Par Bhi Aurato Ke Huqooq Farz Hai.

In Huqooq Ko Ada Na Karnewala Sakht Gunaahgar Hai
ALLAH TA’ALA irshad Farmata Hai
“Aur Unse (Aurato Se) Acha Bartaw Karo”.  (Tarzuma: Kanzul Imaan Para 4, Sure Nisa, Aayat 19)
Sarkaar-E-Madina Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya
“Tum Me Ache Log Wah Hai Jo Aurato Ke Sath Achi Tarah Pesh Aaye”.   (Mishkat Sharif Part 2, Safa 282)
Sarkar-E-Madina Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irsad Farmaya
“Aurat Ko Kisi Bade Kasoor Ke Kabhi Hargiz Hargiz Na Mare Jis Tarah Apne Gulaam Ko Mara Karta Hai
Fir Dusre Waqt Usse Sohbat Bhi Kare”. (Mishkat Sharif Jild 2, Safa 280)
Afsos! Aaj Ke Kuch Jahil Naujawan Apni Biwi Ko Marte Hai.
Ya ALLAH Hum Subko Apni Biwi Ki Izzat Karne Ki Taufiq Ata Farma Aameen
Habib-E-Khuda Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya
“Koi Momin Mard Kisi Momin Aurat Se Bugz Wa Nafrat Na Rakhe Kyunki Agar Aurat Ki Koi Aadat Buri Malum Hoti To Uski Koi Dusri Aadat Pasandida Bhi Hogi”. (Mishkat Sharif Jild 2, Safa 280)
Mehboob-E-Khuda Khatmunn Nabiyyin Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya
“Tum Me Woh Behtar Hai Jo Apni Biwi Ke Sath Behtar Hai Aur Me Apni Biwiyo Ke Sath Tum Subse Jyada Behtar Hu”.
(Ibne Maja Jild 1, Safa 551, Hadees No 2047, Tirmizi Sharif Jild 1, Safa 595)
Apni Biwi Ke Sath Acha Sulooq Karo. Uske Sath Muhabbat Se Pesh Aao. Biwi Ke Sath Narmi Aur Khushmijaji Se Bartaw Karo.Apne Biwi Se Ladai Jhagda Na Karo Pyare Aaqa Alahissalam Ki Sunnato Par Amal Karo
 
 
Madani Aaqa Sallallaho Alaihi Wasallam Ka Farmane Aalishan Hai Ki
“Sabse Bura Aadmi Wah Hai Jo Apni Biwi Ko Sataye”. (Tabrani Sharif)
Pyare Islami Bahiyo Apni Biwi Par Julm Karna, Use Satana, Gaali Galoch Karna Bad Tarin Gunah Hai
Hazrat Abu Huraira Radiallaho Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Rasool-E-Akram Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya
“Jab Kisi Ke Nikah Me Do Biwiya Ho Aur Wo Ek Hi Ki Taraf Mayel Ho To Woh Qayamat Ke Din Jab Aayega
To Uska Aadha Dhad Gira Hua Hoga”.
 (Tirmizi Sharif Jild 1, Safa 584, Hadees No 1137, Ibne Maaja Jild 1, Safa 549)
Habib-E-Khuda Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya
“Aurato Ke Sath Neki Ka Bartaw Karo Ki Unki Paidaish Tedhi Pasli Se Hui Hai Wah Tere Liye Kabhi Sidhi Nahi Ho Sakti
Agar Tu Use Baratna Chahe To Har Haalat Me Barat Sakta Hai Aur Sidha Karna Chahega To Tod Dega Aur Todna Talaaq Dena Hai
 (Muslim Sharif)
Hajjatul Wida Ke Mash’hur Khutbe Me Huzoor-E-Akram Sallallaho Alaihi Wasallam Ka Irshade Girami Hai Ki
Aye Logo! “Aurato Ke Baare Me Neki Aur Bhalaai Karne Ki Wasiat Farmata Hu Tum Meri Wasiat Qubool Karo
Beshaq Aurato Ka Tumhare Upar Haq Hai Tum Unke Pehnaane Aur Khilaane Me Neki Ikhtiyar Karo 
(Ibne Maja)
Madani Aaqa Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya
“Nikah Ki Shart Yani Mehar Ada Karne Ka Sabse Jyada Khayal Rakho”.
(Bukhari Sharif Jild 3, Safa 80)
Haq Mahar Ada Karna Shohar Par Wazib Hai Aur Ise Ada Karne Me Kotahi Karnewala Sakht Gunahgar Hai
Ya ALLAH Hum Subko Apne Biwi Ka Haq Ada Karne Ki Taufiq Ata Farma Aur Biwi Ke Sath Muhabbat Se Zindagi Basar Karne Ki Taufiq Ata Farma Aameen
Aapki Dua Me Is Nachiz Ko Bhi Yaad Rakhe Aur Ye Post Khub Share Kare
Allah Ta’ala in saare masail ko hamen samajhne yaad rakhne aur usse bhi zyada Amal ki toufiq ataa farmaye Aameen

Biwi ke Huqooq Shohar Par In Hindi

Biwi ke Huqooq Shohar Par In Hindi , ” Allah Ta’ala Irshad Farmata Hai Wo (Biwi) Tumhari Libas Hai Aur Tum Unke Libas.
(Kanzul Iman : Para-2, Surah Bakar : Aayat-187)

Ummul Momenin Hazrat Aayesha Siddiqa & Hazrat Abu Huraira Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Sarkare Madina Sallallaho Alayhi Wasallam Ne Irshad Farmaya :
Agar Main Kisi Ke Liye (Allah Ke Siwa) Sajde Ka Hukm Deta To Aurato Ko Hukm Deta Ki Apne Shohar Ko Sajda Kare.
(Tirmizi Sharif : Jild-1, Bab-788, Hadees-1158, Page-594)
  
Sarkare Madina Sallallaho Alayhi Wasallam Se Daryaft Kiya Gaya Ki Behtarin Aurat Ki Pehchan Kya Hai.?Aap Sallallaho Alayhi Wasallam Ne Farmaya, Jo Aurat Apne Shohar Ki Ita’at Wa Farmabardari Kare.
(Nisaai Sharif : Jild-2, Page-364 )

Hazrat Abu Said Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ke Sarkare Madina Sallallaho Alayhi Wasallam Ne Irshad Farmaya: Shohar Ki Na Shukri Karna Ek Tarah Ka Kufra Hai.
(Bukhari Sharif : Jild-1, Hadees-28, Page-109)

Hazrat Abdullah Ibne Abbas Se Riwayat Hai Ki Sarkare Madina Sallallaho Alayhi Wasallam Ne Irshad Farmaya Ki:- Mujhe Dozakh Dikhayi Gayi.Maine Waha Aurato Ko Zyada Paya Uski Wajah Ye Hai Ki Wah Kufra Karti Hai.
Sahaba-E-Kiram Ne Arz Kiya Kya Wo Allah Ke Sath Kufra Karti Hai?
Pyare Aaqa Sallallaho Alayhi Wasallam Ne Farmaya Nahi.! Wo Shohar Ki Na-Shukri Karti Hai. Jo Ke Ek Tarah Ka Kufra Hai Aur Ehsan Nahi Manti Agar Tu Kisi Aurat Se Umar Bhar Ehsan Aur Neki Ka Sulook Kare Lekinek Baat Bhi Khilafe Tabiyat Ho Jaye To Ye Keh Degi. Maine Tujse Kabhi Aaram Aur Sukoon Nahi Paya.
(Bukhari Sharif : Jild-1, Hadees-28, Page-109)

Hazrat Umar Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Sarkare Madina Sallallaho Alayhi Wasallam Ne Irshad Farmaya : Tumko Nahi Malum Aurat Ke Liye Shirk Ke Baad Sabse Bada Gunah Shohar Ki Na-Farmani Hai.
(Gunyatuttalebin : Page-114)

Hazrat Abu Huraira Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Sarkare Madina Sallallaho Alayhi Wasallam Ne Irshad Farmaya:- Shohar Apni Biwi Ko Jis Waqt Bistar Par Bulaye Aur Wo Aane Se Mana Karde To Us Aurat Par Khuda Ke Farishte Subah Tak La’ant Karte Rehte Hai.
(Bukhari Sharif : Jild-3, Hadees-178, Page-96)

Sarkare Madina Sallallaho Alayhi Wasallam Ne Irshad Farmaya: Jab Shohar Apni Hajat (Sohbat) Ke Liye Biwi Ko Bulaye To Biwi Agar Roti Paka Rahi Ho To Usko Lazim Hai Ki Sab Kaam Chhord Kar Shohar KePaas Hazir Ho Jaye.
(Tirmizi Sharif : Jild-1, Hadees-1159, Page-595)

Hazrat Aayesha Radiallahu Anha Se Marwi Hai Ki Sarkare Madina Sallallaho Alayhi Wasallam Ki Khidmat Me Ek Jawan Aurat Hazir Huyi Aur Arz Kiya, YA RASOOLALLAH..! Main Jawan Aurat Hu Muje Nikah Ke Paigam Aate Hai Magar Me Shadi Ko Bura Samajti Hu. Aap Mujhe Bataiye Biwi Par Shohar Ka Kya Haq Hai.?
Pyare Aaqa Sallallaho Alayhi Wasallam Ne Farmaya : Agar Shohar Ki Choti Se Edi Tak Peep Ho Aur Woh Use Zaban Se Chate To Bhi Shohar Ka Haq Ada Nahi Kar Payegi.
Us Aurat Ne Pucha : To Kya Me Shadi Na Karu.?
Aap Sallallaho Alayhi Wasallam Ne Farmaya Tum Shadi Karo Kyun Ki Isme Bhalai Hai.
(Mukashefatul Kuloob : Page-617)